...these silver lines, travel from my thoughts to yours, wavering, floating like spirits dancing...


Sunday, May 27, 2012

'Waqt ki qaed mein zindagi hai magar 
Waqt ki qaed mein zindagi hai magar 
chand gharriyan yahi hain jo aazaad hain 
chand gharriyan yahi hain jo aazaad hain 
inko khho kar kaheen jaan-e-jaan 
umr bhar na tarastey raho 
Aaj jaane ki zid na karo 
Aaj jaane ki zid na karo 

Kitna masoom aur rangeen hai yeh sama 
husn aur ishq ki aaj meraj hai 
husn aur ishq ki aaj meraj hai 
kal ki kis ko khabar jaan-e-jaan 
rok lo aaj ki raat ko 
Aaj jaane ki zid na karo 
Yunhi pehlu mein bethey raho 
Yunhi pehlu mein bethey raho...'


   - Faiyaz Hashmi